Tuesday, January 24, 2012

jiyoge tum kal ki fikr mein.......

jiyoge tum kal ki fikr mein ya

aaj ki hasi k liye

jaldi socho kyuki waqt rukta

nahi kabhi kisi k liye

muskurao ji bhar k saare gham

bhula do

kahi kal ki fikr mein aaj ki hasi

na gawa do

zindagi

zindagi paana aasan nahi hai

jo isse samajh na saka wo

insaan nahi hai

himmat na haaro bus rakkho

khud par yakeen

anzaam wahi hai sabka ek kaffan

aur do gaz zameen

manzilleN

manzilleN unhi ko milti hain

jo lehroN ki rukh ko dagah

dete hain

unko nahi milti jo kinnaro pe

khade ho kar sirf mazah

lete hain

uski nazroN mein.............

to koseta us khuda ko , k de di

usne itni badi sazah

milti jab khushiyaN to kaun karta

hai shukriya ada

uski nazroN mein hai na koi zyada

na koi kam

milti tujhe bus tere hisse ki hi chahe

wo khusi ho ya chahe gham

khwaishein..........

" badi khwaishein na rakhiye janab

   grr paane ka dum na ho

   ho har khwaish aisi ki toot bhi jaye

   to gham na ho

   khwaishein to pori ho hi jayengi
  
   kabhi na kabhi

   par un khwaishoN ka kya fayada
   jinka lutf uthane k liye hum na ho