main muskuraata hu dard mein........
na jaane kab uski chahat meri armaan ban gayi Mujhe khabar bhi na hui kab meri na -kaamiyon ki dastaan ban gayi Main muskuraata hu dard mein bhi aksar Na jaane kab mera ye dard meri muskaan ban gayi Aaj barso baad mili thi wo chawrahe par mujhe main kya kehta use k dekhte hi mujhe wo anjaan ban gayi chhedta tha kabhi main majnu k naam se gham-e-ulfat k maaro ko na pucho mera naam k ab yahi naam meri pehchaan ban gayi mere har ashq ne seecha tha yahan k har ek podhe ko Ab dekho k kitni khoobsurat ye gulistan ban gayi