ishq hum unse yu bepanah karne lage hain
ishq hum unse yu bepanah karne lage hain K koi ab khane ko bhi pooche to hum mana karne lage hain kise yaad rehta hai ye befizool ki bataein ishq mein ho jab saath wo humare to waqt tham jaaye wahin,ye dua karne lage hain na raha ab dil-o-dimaag par aakhtiyaar humara dono is soch mein doobe.n hain k aachanak hum ye kya karne lage hain Kal tak seekhate the hum k hai ishq buri balah yaaro liya ishq ne yu badla k hum wahi khatah karne lage hain Zakhmi tha dil humara gham-e-ulfat k maare ishq ne juhi hi thama hai dil humara, hum us zakhm ki dawa karne lage hain Daur-e-mayoosi bhi guzar gayi hai aaj, na koi katra bacha uska, na hi uski yaad hai Naaraz the jis khuda se hum saari zindagi, tujhe paakar, aaj usi ka shukriya ada karne lage hain