Posts

Showing posts from May, 2012

Maa kaho ammi kaho

hain fhariste bhi besabr jinki parastish k liye ‘pak‘ hum unhe pyaar se ‘ammi‘ kehte hain

main har lamha ji raha hun

aaye jo tum meri zindagi main mere humnawa main har lamha ji raha hun mizaaz-e-ishq main na poochiye meri beqaraari ka aalam mujhe tu hi tu dikhta hai parwaaz-e-ishq main mile mujhe bus tera hi saath hamesha hai dua us khuda se har aagaaz-e-ishq main

wo jaate jaate keh gaye humse

wo jaate jaate keh gaye humse, hume yaad karna k iske siva ab humare pass kaam kya hai

dekhta hun jo muskuraate unhe

dekhta hun jo muskuraate unhe aksar ‘pak‘ sochta hun kya isse khoobsurat jahan aur bhi hai

mujhe deewaana kar diya

tumne mujhe deewaana kar diya is kadar na rahi ab mujhe apni shakl-o-surat koi khabar

na hota mujhse aur sabr

na hota mujhse aur ab sabr ‘pak‘ muntazir hun ek mukkammal mulaqaat k liye

wo aaye jo meri zindagi main

wo aaye jo meri zindagi main, to lagta jaise mil gayi manzil mujhe main bhatak raha tha kab se samandar main,ab mil gaya saahil mujhe ab to halaat aaise hain ki na raha jaaye unke baghair ek pal bhi dil ko sukoon-o-chain aaye, jo wo ho jaaye hasil mujhe main khoya tha kahan is kashmakash ki dahar main wo aaye meri zindagi main ,unki jahan main kiya shamil mujhe alfaaz nahi mere paas kya bayan karu dil ki khushi main k unki nazaroon ne paaya ishq k qaabil mujhe

neend itna meherbaan bhi

neend itna meherbaan bhi na ho mere mehboob par mujhe aachha nahi lagta unse alvida kehna

ishq ka junoon hai

na poochiye kuch ajab hi ye ishq ka junoon hai na dil ko aaraam hai ,na zehan ko sukoon hai

na sahi jaati hai darmiyaan

na sahi jaati hai darmiyaan unse,jinse roshan mera jahan hai ya khudaaya ye meri bebasi ki imthihaa.n hai

hua jo didaar unka

hua jo didaar unka din bhar ki thakaan k baad mili jo tasalli, kis tarah bayan karon main

teri aakhon main ajab sa noor hai

teri aakhon main ajab sa noor hai,kya kahoon tumse jaan unka didaar hi mera sukoon-o-suroorhai,kya kahoon tumse jaan

hogi jis din mulaqaat humari

hogi jis din mulaqaat humari wo parwaaz-e-aashiqui hogi na hua jo mukkammal kabhi wo anzaam-e-zindagi hogi

aaj kya likhon isi uljhan

aaj kya likhon isi uljhan main hun k alfaaz bhi teri yadoon main khone lage hain

tum na hote to

tum na hote to na jaane hum kahan gumrah hote na zindagi jine ka maqsad hota na ishq k maayne hote

ghalib relived

hazaaron adayen aisi ki har ada pe dum nikle bahut nikle mere alfaaz lekin phir bhi kam nikle....

aaye jo aap humari zindagi main

aaye jo aap humari zindagi main, khuda ki inayat hai kabhi hum khud ko ,kabhi apni kismat ko dekhte hain

ye waqt ka farq aur sarhadden

ye waqt ka farq aur sarhaddo ki dooriyan kuch kismat ka fasaana ,kuch hain mazburiyan

Wo jo hote hain saath humare

wo jo hote hain saath humare, na rehta hosh hume unke jaane k baad maano waqt guzarta hi na ho

rakkhe khayaal apna

rakkhe khayaal apna ab kuch aur jyada ,barten ehtiyaat k aap ko bimaar dekh, humari tabiyat bhi nasaz ho jaati hai

ab itna dushwaar ho gaya

ab itna dushwaar ho gaya jina tere baghair k log bhi poochne lage maazra kya hai

kyu tumhe is kadar chahten hain

kyu tumhe is kadar chahten hain ye batana ab mayassar nahi ‘pak‘ kaash k ishq naap ne ki koi tarqeeb ezaad ho jaaye mayassar=possible

tasalli kise kehte hain

hazaaron baar teri tasveer dekh chuka hun ,fhir bhi dil bharta nahi tasalli kise kehte hain , tere ishq main ye bhool gaya shayad

tukdo tukdo main

tukdo tukdo main aaj maine dekha tujhe aaye chaand in baadalon ne saazish ki hai tumhe humse chupaane ki

mizaaz-e-ishq

na tum ko chain hai na hum ko qaraar hai mizaaz-e-ishq main hum dono shumaar hai

koi ummeed na thi

koi ummeed na thi aaj didaar-e-yaar ki na jaane kya maujza huwa k amavas main chaand nikal aaya

Sochon kya ab tere siva

main sochon kya ab tere siva, isi uljhan main hun ‘pak‘ k ab koi mazmoon hi nahi zehan main mere mazmoon......topic

mar jayenge usi din

ye na sochna kabhi k hai nahi aaitbaar tujh par mar jayenge usi din shikayat na karenge

ishq ki hadd nahi

mere ishq ki koi hadd nahi sanam jiski hadd ho wo ishq kya hai

marne ki dua

un k didaar se hi jab hota sukoon-e-jannatnaseeb kaun kambhaqt marne ki dua mange

ISHQ

keh gaya ghalib k ishq aatish hai kehta hu main k ishq parastish hai tu jitna teri pak ibadat se nawazega use wo tere dil ko utna hi qaraar dega wo ek junoon dega ek sukoon dega wo jine ka maqsad dega ek khumaar dega wo ghamkhwaar dega ek ghamgusaar dega is kasmakash ki zindagi main fursat k lamhe hazaar dega kabhi mere alfaazo ko aazma k dekhna zara yakeen hai mujhe wo khusiyan beshumaar dega grr na pao sachai mere aashiyaar mein to batana mujhe ye ‘pak‘ apni kalam kisi k mazaar dega

Chasm ko sukoon aaya

badi aarzoo thi k didaar-e-yaar ho jaaye chasm ko sukoon aaya soz-e-dil na bhuji

aaj kuch likh hi daalon

sochta hu aaj kuch likh hi daalon k bahot din hue teri tareef kiye hue

meri hasti kya hai

tu hai to main hu varna meri hasti kya hai

tera wo bifikri main sona

tera wo bifikri main sona bahot yaad aata hai tere jaane k baad

unke har saans ki khabar hai

wo poochte hain ,kaise jaan jaate ho jab hum tumhe yaad karte hain koi bataye unhe k yahan unke har ek saans ki khabar hai

teri bhi aazmayish hai

na jaane kitne dilon ko jodne ki unki khawaish hai ya maula mujh par karam kar,ye ab sirf meri nahi teri bhi aazmayish hai

ab na koi aur justuju hai

na maloom mujhe hasrr mera,na koi jaan ne ki aarzoo hai tuhi aagaaz tuhi anzaam ho,ab na koi aur justuju hai

jise fursat kehte hain

chahya rehta hai junoon unka,har lamha mere zehan yaaro khoj raha hun us waqt ko, jise ‘fursat ‘ kehte hain log sabhi

kaun samjhaye dil ko

main jaanta hu k ab na hoga didaar-e-yaar kal talak par ye jo kone main dhadak ta hai use kaun samjhaye

intezaar unka

ab to faqat intezaar unka bhi tadpaata hai na jaane ishqzaado ko kaise chain aata hai

Muntazir kal k liye

ek aur haseen shaam ka anzaam hua pak muntazir hun main ab kal k liye

alvidaa rukhsati main

wo jo kehte hain alvidaa humse rukhsati main na puchiye kiss kadar mahaul-e-mayoosi chah jaati hai