baadi muddatton k baad uthayi hai kalam ‘pak‘ tere ishq main chnd alfaaz likhne k liye ye na jaane koi mere ek dil k siva kitna besabr hu main tujh se mil ne k liye
hai tujh se hi ishq bepanah ye yakeen dilaon kaise teri hi tasveer dil main chupa rakkhi hai ye tujh ko dikhaon kaise mera na khud par akhtiyaar raha ab ‘pak’ k kis qadar tu mujh par chhayi ye bataon kaise Ya khuda ye iltaza hai tujh se k koi raasta bata mera mehboob mujh se rootha hai shayad, k use main manao kaise
wafa kar k dekha khafa kar k dekha na jaane is zindagi ne kya kya kar k dekha kabhi jo sine main aag bhujne lagi thi na jaane kyu usko fhir se hawa kar k dekha zakhm bhi diye is zindagi ne mujhko aur kinhi lamho main dawa kar k dekha lagta hai ab kise k ulfat k qabil nahi raha na jaane zindagi ne kyu aaisi kismat ada kar k dekha wafa kar k dekha khafa kar k dekha
na unko sukoon hai na mujhko qaraar hai kaisi hai ye bebasi , ye kaisa intezaar hai ye sarhadhon k fasle ye waqt ki deewaar hai na dil ki kuch khabar rahi na khud pe aakhtiyaar hai
kaash k humari mohabbat main itna asar hota aati jo yaad unki,humari bechainyon ka unko khabar hota na hote grr ye sarhaddon ki dooriyan aur waqt k faasle 'pak' unke aashiyan se hokar humara rehguzar hota