Posts

Showing posts from October, 2013

tujh se

tujh se hi meri har subah hoti hai tujh se hi meri har shaam hoti hai tera hi deedaar mujhe deta hai sukoon-o-chain teri har muskaan se mere dil ko aaraam hoti hai har lamha tera hi zikr hai mere zehan main pak tujh se hi aaghaaz, tujh pe hi meri zindagi anzaam hoti hai

khuda bhi mujh se khafa

hai khuda bhi mujh se khafa kuch is tarah se ‘pak‘ k aata hai tera hi naam, har sajde, har ibadat k aaghaaz main

besabr

besabr hain hum us din k intezaar mein na ye faasle honge n ye waqt ki pabandiyan

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art -meri kalam se

Image

My Pen Art- meri kalam se

Image

My Pen Art- meri kalam se

Image

tere ishq main

tere ishq main meri neend kuch yu udd gayi hai ‘pak‘ goya jaise sona kabhi maloom hi na tha

tera chehra

meri besabri ka aalam na puchiye meri jaan wo din aur tera chehra khila hua yaad aata hai

chnd roz aur

na hogi ye duri na honge ye waqt k faasle chnd roz aur tanhai k bitane hain, ek mukkammal mulaqaat k liye

tum hi meri zindagi ho

ishq tum hi se hai ,tum hi se mera jahan hai tum hi meri zindagi ho,tum hi se meri pehchaan hai

teri yaadein, teri baatein

teri yaadein ,teri baatein,tera chehra ,teri muskaan betaabiyon ka mausam hai,milna ka armaan liye hue hazaaron arzoo is dil main 'pak' main chala milne jisse hota hai mukammal mera jahaan

ajab si maayoosi

na hua jo deedaar tera,to kuch ajab si maayoosi chayi hai na rang-e-hina maza deti hai na baagho main bahar aayi hai

mere alfaaz

mere alfaaz na saath dete mera ab 'pak'   besabr hue jaa rahe hain deedaar-e-yaar k intezaar main

deedaar-e-yaar

faqat kuch dino ka aur intezaar hai pak na hongi ye mausam-e-tanhai bus deedaar-e-yaar hoga

haal-e-dil

kya likhon haal-e-dil apna alfaazo main “pak“ k nazar baraha us tareeqh par jaati hai

anzaam

ek aur din ka anzaam hua 'pak' badhte hue kadam kuch aur badh chale

na jaane wo manzar

na jaane wo manzar kya hoga, humari mulaqaat ka use qayamat na kahe to kya kahe ‘pak‘

unke aane se

unke jaane se badti hai bechainy,unke aane se karaar aata hai kaise bayan kare ab hum k, aap pe kitna hume pyaar aata hai   hume aata nahi hisaab kitaab rakhna mohabbat mein   faqat itna patah hume ,k ishq beshumaar aata hai

fursat nahi hoti

tu is kadar basi hai zehan mein mere, k dil-o-dimaag se kabhi rukhsat nahi hoti chayya rehta hai khumaar-e-ishq har lamha,teri yaadon se kabhi fursat nahi hoti

jannat

wo jo aayenge pass humare aur hum honge un k kareeb kaun kehta hai k jeete ji nahi hota hai jannat naseeb