Posts

Showing posts from April, 2012

koi batlaaye unhe...

Wo poochte hain humse,k kya kiya tumne jab hum na the koi batlaaye unhe,k wo lamha hi nahi jab tum na the

jo hum par marte hain

bohat mil liye unse jin par hum marte the ab itna karam kar khuda,mila de unse jo hum par marte hain

teri yaadon se fursat nahi..

tu is kadar basi hai meri zehan mein ki dil-o-dimaag se kabhi rukhsat nahi hoti tu hoti jo saamne mere, tujhe se,baad main teri yaadon se fursat nahi hoti

wo bhi kya manzar tha ‘pak‘

hum milne se pehle hi bichadne ki dehleez par khade the ise khuda ka karam samjhe ‘pak‘ ya apni kismat ka fasana

tasveer teri behaal kare mujhe

jab bhi teri aati hai yaad,sochta hu teri tasveer dekh lo, dil sambhal jayega... na pooch mera haal uske baad, k dil tera pighal jayega....

zindagi ek ghazal; grr tum chaho

zindagi humari yuhi ghazalo.n mein guzar jayegi do sher tum likhna,do hum likh diya karenge

ab to arsa ho gaya

na aaye the jo tum, to kambhaqt neend bohat aati thi ab to arsa ho gaya ek musst soye hue

unke jaane se badti hai bechainy,unke aane se karaar aata hai

unke jaane se badti hai bechainy,unke aane se karaar aata hai kaise bayan kare ab hum k, aap pe kitna hume pyaar aata hai hume aata nahi hisaab kitaab rakhna ishq mein faqat itne patah hume ,k ishq beshumaar aata hai

hum akele hi muskuraane lage hain

shab-e-furqat se aashiquo.N k peeche zamaane lage hain ye ishq nahi aasaa.n ,kabhi dil humko, kabhi hum dil ko samjhane lage hain ishq ka yun chhaya hai khumaar hum par unko yaad kar k ab hum akele hi muskuraane lage hain

DUA....WISH

maangi thi dua kabhi ,k arsh ki behtareen rehmat se nawaaz e tumko na jaante the k khuda ne hum hi muqarrar kar rakkha hai

expectation proportionate to disappointment.

expectation is the root cause of disappointment. stop expecting from life and you will never be disappointed.

hum naseeb

aaj mila mujhe ek hum naseeb kuch is tarah se k khuda bhi sochta hoga ,ye kya kar diya maine

bimaar hain ishq se

lagta hai unko k hum akele hi bimaar hain ishq se kaun samjhaye unko k aag barabar lagi hai

parwaaz-e-ishq mein

parwaaz-e-ishq mein na waqt ki khabar rahi na tarikh ka thikaana hai unhi se har subah hoti hai aur unhi se har shabana(night) hai

ishq ka khumaar

ab tak tez hain dhadkane aur saason mein raftaar hai aaj subah jab ki kaha tha humne k hume tumse pyaar hai na jaane ye kaun si betaabi hai ya fir tumhare ishq ka khumaar hai

ishq mein beqarari

na paayi beqarari to fhir ishq mein tumne kya paaya humne to kho diya hai chhain apna, tumne kaun sa sukoon paaya

Kaun kehta naasha faqat sharaab mein

kaun kehta hai k naasha faqat sharaab mein hota hai koi unki aakhen dekh le ‘pak‘to sharaab peeni chhod de

zindagi mujh par

na jaane kyu zindagi mujh par itni meherbaan rehti hai main jab bhi use apnana chahun  mujhse anjaan rehti hai

ajab silsila shayri ka

iss mehfil-e-shayri ka bhi kuch ajab silsila yaaro koi dard sunata hai aur hum daad dete hain

kahan se toofa.n ko khabar

abhi to humne aashiyan banane k liye tinke jode hi the na jaane kahan se toofa.n ko khabar lag gayi

ajab silsila shayri ka

iss mehfil-e-shayri ka bhi kuch ajab silsila yaaro koi dard sunata hai aur hum daad dete hain

karam khuda kar de

mujhpe itna karam mere khuda kar de.... tere saare gham mujhe de de,tujhe har dard se rihaa kar de.....

jugal bandi

unki ghair mouzoodgi mein un k ehsaas aur bhi sataane lage hain hai saboot ye us baat ka, k hum ab aur kareeb aane lage hain paas aayen hum kuch is tarah ki nazar ek hi aane lage hain dur rahe kar bhi hum ek duje mein yu samane lage hain