"kaash k khamoshi bhi ek zaban hoti..........."

meri khusi ka thikaana na hota kaash k khamoshi bhi ek zaban hoti.............

main dekhta hi rehta unhe aur haal-e-dil mera bayan hoti...............

tareef mein kehta jo alfaaz wo saare darz galib-e-deewan hoti..............

dekhta main unko har roz sajte sawarte jo unke ghar k saamne hamari maqaan hoti..........

"takhliya" kehta main saare sehar se ek mulaqaat k liye jo mere pass sehar ki qamaan hoti........

unki ek muskurahat par meri unko rijhane ki sau koshishe qurbaan hoti............

hota haath mein nazuk kalai unki jo meri chudiyon ki dukaan hoti.........

unki qatilana Adaon ko dekh lagta hai k talwar se dhar mayan hoti..........

jo pukaarti wo naam mera to kyun lagta mujhe k azaan hoti..........

didaar jo ho jaaye unka amavas ki raat ko to sitaron ki roshni bhi pareshaan hoti.......

leti jo angdaiyan to lagta hai k jaise abhi chahate parwaan hoti.........

de deta khusi se meri jaan jo ek baar choona unhe maut ka farmaan hoti..........

khoobsurat wo hain itne to unko banane wale ka socho k yuhi khoobsurat kya ye jahan hoti......

meri khusi ka thikaana na hota kaash k khamoshi bhi ek zaban hoti...........

main dekhta hi rehta unhe aur haal-e-dil mera bayan hoti.............

Comments

Popular posts from this blog

tujh se

Magic / Fusoon