"main mai se main ko bhool jaata hu.........."

"main mai se main ko bhool jaata hu...........

har subah sochta hu k maikhane fizool jaata hu...........

mujhe aadat nahi ehsaan udhaar rakhh ne ki............

hui shaam saare ehsaan wasool jaata hu..........

na gaya kabhi ibadat k liye mandir ya kaaba.........

jitne imaan-o-siddatt se har roz "ya-rasool" jaata hu..........

mujh par padhta nahi mausam ka asar koi..........

ho fasaad ka din wo ya waqt maqool jaata hu..........

na lounga do jaam se jyada kabhi bhi...........

rakh kar ye bulandh usool jaata hu...........

jamti hai mehfil yaaro ki rangeen har shaam..........

hoti jo peshqash teesre ki to be-hichak qubool jaata hu..........

log kehte hain ki main aadmi aacha hu magar

main mai se main ko bhool jaata hu................."

Comments

Popular posts from this blog

tujh se

Magic / Fusoon