main muskuraata hu dard mein........
na jaane kab uski chahat meri armaan ban gayi
Mujhe khabar bhi na hui kab meri na -kaamiyon ki dastaan ban gayi
Main muskuraata hu dard mein bhi aksar
Na jaane kab mera ye dard meri muskaan ban gayi
Aaj barso baad mili thi wo chawrahe par mujhe
main kya kehta use k dekhte hi mujhe wo anjaan ban gayi
chhedta tha kabhi main majnu k naam se gham-e-ulfat k maaro ko
na pucho mera naam k ab yahi naam meri pehchaan ban gayi
mere har ashq ne seecha tha yahan k har ek podhe ko
Ab dekho k kitni khoobsurat ye gulistan ban gayi
Grammatical mistakes
ReplyDelete