MAUT
“ maut bewajah hi itna badnaam hai
har insaan ka jab ki yahi mustaqil anzaam hai
zindagi ko muqammal banane ki raheN juda
par maut k liye na koi mukhtalif na koi khaas-o-aam hai
juda karti hai apno se, maut par lagta yahi sangeen ilzaam hai
afsos k koi samjhe na maut ki jaadugari
yahan zindagi jeene k kisse tamaam hai
na jane tu ki maut hi akhaaz hai zindagi ka
maut bewajah hi itna badnaam hai“
Comments
Post a Comment