" ye duniya faqat ishq aur dard ki deewaani hai..........." -

"ye duniya faqat ishq aur dard ki deewaani hai..........

zindagi k baaki ghamo se anjaani hai.............

main sochta tha k hu main akela un hazaaro mein...........

par yahan paaya sab ki mujh jaisi hi kahani hai...........

mujhe na to "geeta" k slok na "Quran" ki ayaten seekhani hai............

jaante ho tum bhi jis baat ko bus wahi baat batani hai.........

khusi mein sab saath tere gham ko akele hi nibhani hai........

jite ho tum apne usuloon par agar, tumhe hamesha mukh ki hi khani hai...........

na ho jazbaati is jahan mein,ye duniya tumhare jazbaaton se begaani hai........

talaashna hai manzille khud apni aur unke raaste khud hi banani hai..........

is qash ma qash ki zindagi se, pal sukoon k khud hi churani hai........

na dega saath tere koi umr bhar aye dost, yahi to asl zindagani hai.........

chahe failo jitna bhi tum ta- umr, anzaam tumhara 'do gaj' mein hi simat jaani hai......

ye duniya faqat ishq aur dard ki deewaani hai...............

Comments

Popular posts from this blog

tujh se

Magic / Fusoon