ishq hum unse yu bepanah karne lage hain
ishq hum unse yu bepanah karne lage hain
K koi ab khane ko bhi pooche to hum mana karne lage hain
kise yaad rehta hai ye befizool ki bataein ishq mein
ho jab saath wo humare to waqt tham jaaye wahin,ye dua karne lage hain
na raha ab dil-o-dimaag par aakhtiyaar humara
dono is soch mein doobe.n hain k aachanak hum ye kya karne lage hain
Kal tak seekhate the hum k hai ishq buri balah yaaro
liya ishq ne yu badla k hum wahi khatah karne lage hain
Zakhmi tha dil humara gham-e-ulfat k maare
ishq ne juhi hi thama hai dil humara, hum us zakhm ki dawa karne lage hain
Daur-e-mayoosi bhi guzar gayi hai aaj, na koi katra bacha uska, na hi uski yaad hai
Naaraz the jis khuda se hum saari zindagi, tujhe paakar, aaj usi ka shukriya ada karne lage hain
Comments
Post a Comment