Mashooq mile na mile, mujhe khuda mil jaaye.....
kabhi kisi se mujhe ye dua mil jaaye
mashooq mile na mile, mujhe khuda mil jaaye
aaye aisa bhi ek daur kabhi ‘pak‘
k wafa kare koi aur use wafa mil jaaye
‘kisi ko zameen, to kisi ko aasma nahi milta ‘kah gaya koi
khuda kare k use bhi ek muqqammal jahan mil jaaye
hain gumrah jo log apni hi zindagi mein
unko unki manzillen aur aashiya mil jaaye
hai ishq ab bhi la-ilaaz marz kehte log
hui bahot tarakki ,kya pata koi nayi dawa mil jaaye
zindagi yuhi imtihaan leti rahegi aksar
kabhi zindagi jeena ka koi falsafa mil jaaye
khushiyan jo haath aaye to sabr na kho dena yaaro
na jaane gham ka saath tumhe fhir kahan mil jaaye
Comments
Post a Comment