ISHQ
keh gaya ghalib k ishq aatish hai
kehta hu main k ishq parastish hai
tu jitna teri pak ibadat se nawazega use
wo tere dil ko utna hi qaraar dega
wo ek junoon dega ek sukoon dega
wo jine ka maqsad dega ek khumaar dega
wo ghamkhwaar dega ek ghamgusaar dega
is kasmakash ki zindagi main fursat k lamhe hazaar dega
kabhi mere alfaazo ko aazma k dekhna zara
yakeen hai mujhe wo khusiyan beshumaar dega
grr na pao sachai mere aashiyaar mein to batana mujhe
ye ‘pak‘ apni kalam kisi k mazaar dega
Comments
Post a Comment