wafa kar k dekha



wafa kar k dekha khafa kar k dekha

na jaane is zindagi ne kya kya kar k dekha

kabhi jo sine main aag bhujne lagi thi

na jaane kyu usko fhir se hawa kar k dekha

zakhm bhi diye is zindagi ne mujhko

aur kinhi lamho main dawa kar k dekha

lagta hai ab kise k ulfat k qabil nahi raha

na jaane zindagi ne kyu aaisi kismat ada kar k dekha

wafa kar k dekha khafa kar k dekha 

Comments

Popular posts from this blog

tujh se

Magic / Fusoon